Go Back   Punjabi Junktion » :- Relationships -: » Punjabi Poetry | Sher-o-Shayari

Muskara Kar Nazaa Ki Mushkil Ko Asaan Kardiya

This is a discussion on Muskara Kar Nazaa Ki Mushkil Ko Asaan Kardiya within the Punjabi Poetry | Sher-o-Shayari forums, part of the :- Relationships -: category; Muskara Kar Nazaa Ki Mushkil Ko Asaan Kardiya Muskara Kar Nazaa Ki Mushkil Ko Asaan Kardiya, Un Ke Sadqe, Mujh ...

Reply
  #1  
Old 08-12-2017
marjana
 
Alarm Muskara Kar Nazaa Ki Mushkil Ko Asaan Kardiya

Muskara Kar Nazaa Ki Mushkil Ko Asaan Kardiya

Muskara Kar Nazaa Ki Mushkil Ko Asaan Kardiya,
Un Ke Sadqe, Mujh Pe Khuddari Ko Qurbaan Kardiya.

Yun Bhi Sahil Tak Phohanch Jatey Hein Ahl-E-Etibaar,
Mein Ne Kashti Ko Sapurd Mauj-E-Toofaan Kardiya.

Aur Ab Kya Chahti Hain Mujh Se Dunya Baad Marg,
Mein Ne Raushan Manzar-E-Gor-E-Gharibaan Kardiya

Maut Ab Aajaye, Mein Jaam-E-Mohabbat Pi Chuka,
Mein Ne Apne Hashar Tak Jiney Ka Samaan Kardiya

Kayenaat-E-Husn Ka Ek Harba-E-Masoom Tha!,
Woh Tabassum Jis Ne Peda Zauq-E-Esyaan Kardiya

Rakh Diya Zer-E-Zameen Mulzim Bana Kar Maut Ka,
Mujh Ko Naseer Un Ke Jalwe Ne Jo Hayraan Kardiya

Sponsored Links
Reply

Thread Tools
Display ModesPunjabiJunktion.Co.In tested by Norton Security PunjabiJunktion.Co.In tested by McAfee Security
All times are GMT +5.5. The time now is 11:02 AM. Ad Management plugin by PJ Tech Team